Buddhu Sa Mann (From "Kapoor & Sons (Since 1921)")歌词
作词 : Abhiruchi Chand
作曲 : Amaal Mallik
Dabi dabi si hansi honthon pe phansi hai
Gududi kar rahi hawa
Oo.. halla macha rahi hai pagal si khwaishein
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai
......
Karne de khwaabon ko badmashiyaan
Chalne de nazron ki manmaaniyan
Dhoondhe chalo kuch thikane naye
Hone de pagli pagli si nadaaniyab
Hosh mein rehna hai kyun
Rehne se hoga kya
Behoshiyon mein hai maza
Oo.. bachkaani harkatein jo hoti hain hone de
Kushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai
......
Mausam ne bhi ki hai kuch koshishein
Hone lagi dekho ye baarishien
Sar pe chadha hai yeh kaisa asar
Daude raftaar mein dil ki sab dhadkanein
Dhun koi chal rahi hai, kaano mein dheeme se
Roshan hai zyada yeh subah
Halchal jo ho rahi hai seene mein hone de
Khushiyon ki mili hai wajah haan
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai