歌词塔 搜索歌曲

Afreen Afreen歌词

Performed by: Rahat Fateh Ali Khan & Momina Mustehsan
Language: Urdu
The song is a new version of the Sufi classic song by Nusrat Fateh Ali Khan.
[Verse 1: Rahat Fateh Ali Khan]
Aisa dekha nahi khoobsurat koi
Jism jaise Ajanta ki murat koi
Jism jaise nigahon pe jadoo koi
Jism nagma koi jism khushboo koi
Jism jaise mehakti hui chandni
Jism jaise machalti hui ragini
Jism jaise ke khilta hua ik chaman
Jism jaise ke suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua dilkasho dilnashin
Sandli sandli marmari marmari
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husan-e-jaana ki tareef mumkin nahi…
[Verse 2: Momina Mustehsan]
Jane kaisi bandhi tune akhiyon ke dor
Mann mera khicha chala aaya teri aor
Mere chehre ki subah zulfon ki shaam
Mera sab kuch hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhua toh hai ye jadoo hua
Hone lagi hoon main haseen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
Afreen afreen afreen
[Verse 3: Rahat Fateh Ali Khan]
Chehra ik phool ki tarah shadaab hai
Chehra uska hai ya koi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi
Chehra ik khwab bhi chehra tabeer bhi
Chehra koi aliflailvi dastaan
Chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah
Chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi..
Mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen afreen afreen
Tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
Afreen afreen afreen afreen
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi…
afreen afreen
afireen
afreen afreen
afreen
afreen afreen
afreen
afreen afreen
afreen
afreen afreen
afreen
afreen afreen
afreen
afreen afreen
afreen
afreen afreen
afreen
更多>

Rahat Fateh Ali Khan最新专辑

更多>

Rahat Fateh Ali Khan最新歌曲