歌词塔 搜索歌曲

Tune Jo Na Kaha歌词

Tune jo na kaha main woh sunta raha
Khamaka bewaja khwaab bhunta raha
~~
Tune jo na kaha main woh sunta raha
Khamaka bewaja khwaab bhunta raha
Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is shehar mein na apna thikana raha
Door chahat se main apni chalta raha
Khamaka bewaja khwaab bhunta raha
~~
Dard pehle se hai zyada
Khud se phir yeh kiya waada
Khamosh nazrein rahe bezuban
~~
Ab na pehle si baatein hai
Bolo toh lab thar tharatein hai
Raaz yeh dil ka na ho bayaan
Ho gaya ke asar koi hum pe nahi
Hum safar mein toh hai humsafar hai nahi
Door jaaha raha, paas aata raha
Khamaka bewaja khwaab bhunta raha
~~
Aaya woh phir nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankhon mein chubta kal ka dhuaan
~~
Haal tera na humsa hai
Is khushi mein kyun gham sa hai
Basne laga kyun phir woh jahaan
Woh jahaan door jis se gaye the nikal
Phir se aankhon mein karti hai jaise pehal
Lamha beeta hua dil dukhata raha
Khamaka bewaja khwaab bhunta raha
Tune jo na kaha main woh sunta raha
Khamaka bewaja khwaab bhunta raha
Jaane kiski humein lag gayi hai nazar
Is shehar mein na apna thikana raha
Door chahat se main apni chalta raha
Bhuj gayi aag thi, daag jalta raha
更多>

Pritam最新专辑

更多>

Pritam最新歌曲