Dastaan-E-Om Shanti Om歌词
Sunne walon suno aisa bhi hota hai
Dil deta hai jo woh jaan bhi khota hai
Pyaar aisa jo karta hai
Kya mar ke bhi marta hai
Aao tum bhi aaj sun lo
Dastaan hai yeh
Ke ik tha naujawan jo dil hi dil mein
Ek haseena ka tha deewana
Woh haseena bhi ke jiski khoobsoorti
Ka duniya bhar mein tha mashhoor afsana
Donon ki yeh kahani hai jisko sabhi
Kehte hain Om Shanti Om
Naujawan ki thi aarzoo
Uski thi yeh hi justzoo
Us haseena mein usko mile
Ishq ke saare rang boo
Naujawan ki thi aarzoo
Uski thi yeh hi justzoo
Us haseena mein usko mile
Ishq ke saare rang boo
Usne na jaana yeh nadani hai
Woh rait ko samjha ke paani hai
Kyun aisa tha kis liye tha
Yeh kahani hai
Dastaan hai yeh ke us dilkash haseena ke
Nigahon, dil mein koi doosra hi tha
Bekhabar is baat se us naujawan ke khwaabon ka
Anjaam to hona bura hi tha
Toote khwaabon ki is dastan ko sabhi
Kehte hain Om Shanti Om
Sunne walon suno aisa bhi hota hai
Koi jitna hanse utna hi rota hai
Deewani hoke haseena
Khayi kya dhokhe haseena
Aao tum bhi aaj sun lo
Dastaan hai yeh ke us maasoom haseena ne
Jise chaha woh tha andar se harjayi
Sang dil se dil laga ke
Bewafa ke haath aake
Usne ik din maut hi paayi
Ik sitam ka fasana hai jisko sabhi
Kehte hain Om Shanti Om
Kyon koi qaatil samajhta nahin
Yeh jurm woh hai jo chhupta nahin
Yeh daag woh hai jo mit'ta nahin
Rehta hai khooni ke haath par
Khoon us haseena ka jab tha hua
Koi wahan tha pahunch to gaya
Lekin use woh bacha na saka
Roya tha pyaar uski baat par
Daastan hai yeh
Ke jo pehchanta hai khooni ko
Woh naujawan hai laut ke aaya
Keh rahi hai zindagi qaatil samajh le
Uske sar pe chha chuka hai maut ka saya
Janmon ki, karmon ki hai kahani jise
Kehte hain Om shanti om
Kehte hain Om shanti om
Kehte hain Om shanti om